Mobile Phone Se Laptop me Photo kaise transfer karen

Aaj hum mobile phone se laptop me photo transfer kaise kare sikhenge aur wo bhi another way. Bahut logo ko eske baare me malum nahi hai ki apne smartphone se laptop me photo aur video kaise bheje , esliye ye post aaplogo ke liye hai jo ye baat nahi jaante hain .

Mobile se Laptop me file transfer Kaise kare
Mobile se Photo Laptop me Kaise bheje in hindi

Sabse pahle Phone se computer me video , photo aur img transfer karo uasase pahle ye sikho ki , aap kis tarike se ye kaam karna chahte ho. matlab yadi aap apne mobile se photo bhejna chahte ho to kis tarike se bhejoge.

Maine pahle bhi ek tarika bataya hai aur aaj photo , video transfer karne ka dusra tarika bataunga .to chaliye jaante hain mobile se laptop me photo bhejne ka super tarika.ये भी पढिए गूगल से घर बैठे पैसे कैसे कमाएं

Mobile se Photo Laptop me Kaise bheje:

Yadi aap mobile se laptop me photo transfer karna chahte hain to pahla tarika data cable wala hai jo maine pichle post me bata chuka hu. To ab hum bina usb cable se laptop me photo, videos, pdf , aur files transfer kaise karen eske baare me sikhenge.

Haa , to aapko eske liye ek app ki jarurat hogi jo aapke mobile phone me honi chahiye aur same app aapke laptop me honi chahiye. aapko aircopy app ko apne mobile phone me download aur install kar lena hai aur apne laptop me bhi aur jab dono system me ye files transfer apps install ho jaaye to aap easily apne pc me photo , videos aur files transfer kar sakte hain.

Website ka use karke photo transfer kaise karen:

Haa , yadi aap bina kisi app ke photo , video aur files transfer kaise karen jaanna chahte hain to aap ye bhi kar sakte hain aapko sirf aapka phone aur aapke laptop ki jarurat hai .

Eske alawa aapke mobile and pc me internet connection ho jaruri hai to chaliye jaante hain mobile se laptop me files bhejne ka ye shandar tarika.

haa to sabse pahle aapko aircopy ki website ko apne laptop me internet ki help se open kar lena hai aur apne mobile phone me qr code scanner open kar lena hai jab aap ke laptop me aircopy ke website open ho jaati hai to aapke laptopki screen par ek qr code dikhai dega.

Bas , ab yadi aapko apne mobile se data laptop me transfer karna hai to apne mobile ke qr code scanner se laptop ke screen par dikhai de rahe qr code ko scan karen aur apne mobile phone ka saara data apne computer par transfer kar len aur wo bhi bina kisi mobile app ke.

End: To aaj humne mobile phone se laptop me file kaise bhejte hain sikha aur sabse interesting baat ye hai ki humne bina kisi app ke data transfer kaise karen .