Whatsapp web kya hai or What is Whatsapp web hindi

“aaj ke post me hum baat karenge what is whatsapp web yaani whatsaapp web kya hai aur aap kaise apne phone me whatsapp web use kar skte hain”

megahindi.com
whatsapp web क्या होता है

Hum sabhi aaj ke samay me whatsapp use karte hain aur hum sab jaante hain ki whatsapp hamare liye ab itna important messenger app ho gaya hai jise hum daily life me estemal karte hain.

yaha yadi baat kare whatsapp web kya hai , to whatsapp web ,whatsapp ka hi ek cool features hai jo whatsapp user ke dwara jyada use kiya jata hai .

aap whatsapp web ki madad se apne whatsapp ko ek phone se dusre phone me bhi use kar sakte hai , eske saath hi mobile se laptop me bhi aap whatsapp web use kar skte hain.

Whatsapp web app use kaise kare –

ab baat karte hain whatsapp web ko use kaise karte hain ?

aapko whatsapp web ko use karne ke liye ek mobile yaa phone ki jarurat hogi aur aap apne phone se direct whatsapp ko laptop mein use kar skte hain.

apne phone me whatsapp web kaise use kare – apne phone me whatsapp web use karne ke liye aapko apne whatsapp messenger me jaaye aur right top par diya gya three dot […] par click kare.

eske bad aapko ek menu dikhega jisme kai saare option dikhenge jaise –

New group

New broadcast

Whatsapp web

Starred messages

And

Setting

eske baad jab aap Whatsapp web wale option par click karenge to aapko Whatsapp web scaner milega jo aapko ek QR Code scaner ki tarah dikhega.

Whatsapp mein fingerprint lock lagane ka best tarika

GB whatsapp लोग ज्यादा क्यों यूज़ करते हैं

Aur aapko koi bhi Whatsapp Web qr code scan karne ke liye kahega. bas aapko dusre phone me whatsapp web application download karna hai aur uske baad us whatsapp web app me diye gaye qr code ko scan kare.

Whatsapp Web app Download kaise kare –

apne mobile yaa phone me whatsapp web app download karne ke liye yadi aap koi android phone use karte hain to google play store , Aur yadi IOS yaa Iphone use karte hain to apple ke App store par jaakar , Search bar me Whatsapp web app type karke search par click kare.

Aur eske baad aap whatsapp web app ko apne phone mein download kar sakte hain . whatsapp web ko download karke install karen aur ab aap chahe to jis phone mein aapne whatsapp web app download kiya hai , us phone mein kisi ka bhi whatsapp use kar skte hain.

apne phone mein kisi ka whatsapp kaise chalaye-

Well aaj trend chal raha hai yaa yu kahe to ye logo ka pagalpan hi hai , lekin jo kuch bhi hai hum aapko batane ja rahe hain, ki aap dusro ka whatsapp apne phone me kaise chalaye.

eske liye aapko apne phone me whatsapp web application one time ke liye download aur install karna hoga ..Aur aapko whatsapp web app ko kaise download kare eske baare me maine aapko upar ke lekh me bata diya hai , lekin dusre ka whatsapp apne mobile mein chalane ke liye ek whatsapp trick lagani padegi.

aapko jis kisi ka bhi whatsapp apne phone me chalana ho uska whatsapp ko apne whatsapp web app par scan kar le. Ab baat aati hai ki ye whatsapp trick kaam kaise karti hai ….

To ye whatsapp trick thik usi tarah se kaam karegi lekin aap bina bataye apna whatsapp web jiska whatsapp use karna hai, uske phone me scan karna hoga .. yadi aapne eska same ulta kar diya to aapke liye gadbad ho jayegi.

To ye kaam sawadhani se karen…aur es baat ka dhyan rakhe ki usko es baat ka pata naa chale , lekin ek baat hai aap kisi ka whatsapp apne phone mein chala rahe hai, ye uska bhi pata nahi chalega ki aapne hi uska whatsapp hack kiya hai.

To aaj humne jana ki whatsapp web kya hota hai aur hum apne phone me whatsapp web kaise use kar skate hain, eske saath hi humne ye bhi jana ki dusre ka whatsapp apne phone me kaise chalate hain..

Yadi aapko ye post achchi lagi ho to esko social media par share kare even whatsapp group par bhi share kare. aur eske baad aapko kuch puchna hai to niche comment kare.hum aapko jald hi aapke question ka answer denge.

dhanywad–Aur haa Share jarur kare.