Multiple Desktop in windows 10 : How Work ?

Hello , Es Article mein hum multiple desktop laptop me kaise use karen eske baare me baat karne wale hain. yaani ye post how to use multiple desktop on your windows 10 ke baare me hai. Sabse pahle hum ye jaante hain ki what is multiple desktop ?

Multiple Desktop kya hota hai?

Multiple desktop kya hai? jab hum apne windows 10 laptop me kaam karte hai , to wo single desktop hota hai, aur eske alawa jab hum ek hi laptop windows 10 me ek se jyada 1, 2, ,3,4,….aise karte huye multiple desktop par kaam karte hain, to use multiple desktop kahte hain.

Laptop me Multiple Desktop Kaise Use kar skate hain:

Apne Laptop mein Multiple desktop estemal karne ke liye apne laptop ke tastbaar me diye gye Cortana ke Right side wale Symble par Click karen .Jaise hi click karenge aapko upar ke image ke jaise ek screen dikhai dega aur , bilkul eske jaise hi show hoga aapko pahle ke kuch desktop dikhai denge .

Windows 10 me multiple desktop kaise add karen:

To eske liye aapko sirf aur sirf laptop me task view se aaye huye laptop ki screen par jo look dikhai deta hai , usme aapko desktop 1, desktop 2….karke dikhai dega aapko multiple desktop par kaam karne ke liye sirf aapko Desktop[ + ] plus ke upar click kar dena hai , ab aapke laptop ke desktop par ek aur desktop add ho jayega ..

Eske alawa yadi aap apne laptop me ek se jyada desktop use karna chahte hain to aap esi tarah Desktop[ + ] plus ke nishan par click karke multiple windows jod sakte hain.

End: To Aaj ke es post me humne sikha kaise aap apne laptop par multiple desktop add kar sakte hain . aur kaise aap apne windows 10 me ek se jydaa desktop par kaam kar sakte hain. Ye post pasand aaye to niche Comment karke share kar deve. Dhanywad

Leave a Comment