Bluetooth driver kya hota hai aur kaise download Karen? |

Bluetooth driver kya hota hai aur kaise download Karen?

Aaj ham janenge bluetooth driver Kya Hota Hai aur Hamare PC Mein Kya Kam Karta Hai Jin Logon Ko Nahin Pata usko Bata Den Ki bluetooth driver Ek software program hota hai jo Hamare computer ke operating system aur bluetooth device ke bich sambandh sthapit karta hai aur operating system ko permission Deta Hai Bluetooth device ko ran karne ke liye. 

“ bluetooth driver Ek Tarah ka driver Hota Hai jo operating system ko Kisi Bluetooth  device ko chalane ki permission deta hai.”

what is bluetooth driver in hindi explained by ram k prajapati
Bluetooth driver kya hota hai aur kaise download Karen?

Bluetooth driver kya hota hai aur kaise download Kare? फॉर कंप्युटर और लैपटॉप

Bluetooth driver Yadi outdated ho jata hai to hamare computer ya laptop mein Bluetooth device Kam Nahin karta hai ya FIR connecting aur disconnecting ka problem show hone lagta hai isliye Jab Bhi aapke computer mein ya laptop mein Bluetooth device Kamna karen to sabse pahle aapko Apne bluetooth driver ko update kar lena chahie.  घर बैठे कंप्युटर और मोबाईल से लाखों कमाएं google से अभी जाने कैसे

Bluetooth driver ko update karna Aasan hota hai iske liye aapko Apne computer ke control panel mein jana hai aur FIR Device Manager mein jakar aap apne computer ke bluetooth driver ko update kar sakte hain. 

 bluetooth driver Ko download kaise karen. 

Yadi aapko Apne computer ya laptop ke liye best bluetooth driver download karna hai to aap Intel ki website per Ja sakte hain ya FIR Apne Google  search mein jakar type Karen “ bluetooth driver for Windows version and system bit.” . 

Apne laptop aur PC ke liye bluetooth driver Ko download karte samay do Baton Ka Dhyan Rakhna jaruri hai.

  1.  aapko Apne computer mein Bluetooth Driver download karne se pahle system ke architecture ke bare mein Jankari Le len ki aapka computer system kitne bit ka hai 32 bit ka hai ya FIR 64 bit ka hai. 
  2.  aapko Apne Computer ya laptop ke liye bluetooth driver download karne se pahle yah Janna jaruri hai ki aapke laptop aur computer mein kaun sa Windows version (10, 11 , 7 ) hai jaise ki aapke computer mein Windows 7 hai ya FIR Windows 10 hai ya FIR window eleven hai. 

 bluetooth driver ko uninstall kaise karen. 

Bluetooth driver Ko do wnload karne ke bad ise Apne computer mein install karne se pahle Apne computer mein purane bluetooth driver ko uninstall karne ki jarurat hoti hai. 

 yadi aap purane bluetooth driver ko uninstall kiye Bina naye bluetooth driver ko install Karenge to aapke computer mein issue create ho sakta hai. 

Isliye sabse pahle Apne purane outdated bluetooth driver ko uninstall Karen Uske bad hi Apne PC Mein bluetooth driver ko install Karen. 

Bluetooth driver ko install kaise karen. 

Aaiae ab Jante Hain Apne computer ya laptop mein bluetooth driver ko install kaise kiya Jata Hai Sabse pahle to aapko apne liye best bluetooth driver Intel ki website Se download kar lena hai jo aapke computer PC ko support karta ho. 

 apne liye best bluetooth driver download karne se pahle Apne system ke bare mein proper jankari nikaal le.

Bluetooth driver ko install karna bahut hi Aasan hai niche Diye Gaye tarike se aap log Apne laptop ya PC Mein bluetooth driver ko Install kar sakte hain- 

  1. Sabse pahle aapko Apne PC Mein download folder ko open karna hai. 
  2.  uske bad aapko bluetooth driver wale downloaded file per double click karna hai. 
  3.  Iske bad next button per click karte jana hai
  4. Ab aapka bluetooth driver install ho chuka hai. 

Yadi aapke PC Mein Pahle Se bluetooth driver ho to aap Outdated bluetooth driver ko update kar kar bhi kam Mein La sakte hain aaiae Jante Hain bluetooth driver ko update kaise karen. 

Bluetooth driver ko update kaise karte hain.

Bluetooth driver ko update karna bahut Aasan hai iske liye sabse pahle Apne computer PC Mein control panel ko open Karen aur device manager mein jaen. 

Iske bad Bluetooth wale icon per right click Karen aur update driver per click Karen.

Kuchh hi second Mein aapka bluetooth driver update ho jaega. 

Bluetooth driver Kya Hota Hai? What is bluetooth driver

Aaj Humne Sikha bluetooth driver kya hota hai aur bluetooth driver ko update download aur install kaise kiya Jata Hai yadi aapko is Vishay Mein Kuchh puchna ho to niche comment Karke poochh sakte hain Is Tarah ke video ke liye Hamare YouTube channel ko subscribe kar len Aur Is Tarah ki jankari ko padhne ke liye rojana MegaHindi website per visit Karen. 

3 thoughts on “Bluetooth driver kya hota hai aur kaise download Karen? |”

Leave a Comment