Google blog kya hai , aur kaise banaye (How To make)

गूगल ब्लॉग क्या है , और गूगल ब्लॉग से पैसे कैसे कमाये ? कौन कौन से ब्लॉगिंग प्लेटफॉर्म पर आप ब्लॉग बना सकते हैं। Sabse pahle hum baat karenge google blog kya hota hai aur khud ka blog kaise banate hai aur eske saath hi hum ye bhi jaanege ki google par blog kaise bana skte hain hindi me.sbse pahle hum blog ke baare me thodi si jaankari aapko batate hain.

Blog kya hota hai?-

Blog kya hai ye sawal sabse pahle man me aata hai uske jo pahli baar blog word apne kaano se sunta hai . Aur uske man me eske prati jigyasa tab hoti hai jab usko ye baat pata chalti hai ki blog se paise bhi kamaye jate hai.

to blog kya hota hai?

esko hum ek example se samjhte hain.

maan lijiye ki hume koi vastoo yaa sewa ke baare me jaankari leni ho . to hum kya karenge?

google blog kya hai hindi me 2020
Google blog ke baare me jaankari , jaise ki google blog kya hota hai aur kaise esko estemal karte hai, saath me jaanenge google blogging ke jariye paise kaise kamaye.

Hum sabse pahle google par jaate hain aur us vastoo ke baare me search karte hain.

Jiase hi hum google me us vastoo se related keywords type karte hain aur enter karte hain , to hum google dher saari web pages show karata hai , un sabhi keywords se related jo aapne google k search baar me type ki thi.

Hum kya karte un sabhi web pages me jo hume title aur discription ke nazariye se pasand aata hai , us particuler page par click karte hain, aur hum us vastoo ya sewa ke baare me jaankari le lete hai.

Jo bhi humne jaankari padhi yaa dekhi jo likhit format me ho use online ki bhasha me article yaa post kahte hain, Aur jo page par wo jaankari publish ki gyi hoti hai yaa likhi gayi hoti hai use online ki bhasha me blog kahte hai.

Esko thoda dusre prakar se samjhte hain.

” blog har wo online page hai jis par kuch lekh publish kiye gaye hote hai “

esi se related aapne ek aur shabd suna hoga “Blogger” …..

to aapke man me ye word bhi jarur kuch taal matol kar raha hoga ki blogger kya hota hai , yaa kya hai?

Hum ne abhi baat ki blog ke baare me , ki kisi bhi online pages par jo saamgri likhi ya publish ki gayi hoti hai wo Blog kahlati hai , Aur jo bhi person us online web pages par article likhta hai ya post publish karta hai eske saath hi wo apne blog ko manage karta hai , wo person blogger kahlata hai.

well ,

Humne ye to jaan liya ki blog aur blogger kya hota hai, but aaplog ke man me ye hoga ki , hum yaha par ye jaanane ke liye aaye the ki google blog kya hota hai ?

Google blog kise kahte hai?

Google blog bhi ek blog hai jo google ke dwara google ke hi blogging plateform “blogger.com” par banaya gya hota hai.

Blogger par aap apne liye kai saare khoobsurat blog bana sakte hai , aur un blogs par post publish kar sakte hai.

Ab aapke man me ye sawal paida hoga ki kya google hi sabhi bloggers ka malik hai , to eska jawab hai bilkul nahi .

Actully .

Google ke paas dher saare user account hai esliye google apne sabhi users ke liye chijo ko aasan banane ke liye har kshetra me kaarya karta hai , Aur blogging karna bhi ek alag field hota hai online users ke liye jo online paise kamane ka sapna dekhte hain.

apne liye ek powerfull blog kaise start kare?

Blogging me CDN ka use kyu karte hain?

Google Blog se Paise kaise kamaye?

Ab hum blogging se kaise paise bana sakte hain eske baare me kuch baate kar lete hain. Jaise apne blog ko monetize kaise karte hain yaa log apne blogging ke jariye kitne paise kama sakte hai.

Type of Income In Blogging field:

Blogging ek aisa sectoer hai jisase aap ghar baith kar aur sirf ek laptop aur internet coonection ki madad se laakho rupye kama sakte ho sirf blog likh kar. Aur kitne log to caroro rupaye kama chuke hai aur abhi bhi kama rahe hain. Niche blogging se kinte prakar se kamai ho sakti hai espe baat karenge.

1.Google Ads

aap apne blog ke upar google ke advertising program ke jariye ad laga kar paise kama sakte hain. Matlab google aapko blog banane ka bhi plateform de raha hai aur eske saath blog se paise kamane ka bhi plateform provide kara raha hai.

2. Affiliate Income

Ek blog se paise kamane ke type me affiliate bhi ek bahut badhiya vikalap hai . Aur aaj ke date me affiliate blog se paise kamane ka craze bahut badh gya hai.

Aap apne blog par Affiliate marketing ke jariye kisi bhi tarah ke product review likhne par paise kama sakte hai . Aur jab koi bhi online customer us product ko purchase karta hai , to aap ko us product ke bikne se jo bhi commision milta hai, wo direct aapke khate me mil jaayega.

Affiliate se beche gaye product par Companiya 5% , 10% , 15% , aur kai companiya to 20% tak direct income deti hain.

3.Buy & Sell Blog

Aap blog ko sell karke bhi paise kama sakte hain. aaj ke date me kai saare blogger es kaam ko karte hai. Aur kisi low level blog ko kharid kar usko thoda modiye karke high level yaa bikri karne ke liye ready karke hum usko bech dete hain. Aur Eske badle me hume achcha profit hota hai.

Google blog banane ka best plateform blogger hai.

blogger.com google ka hi product hai jo bloggers ko blog banane aur blogging karne ka best experience provide karata hai.

ek blogger ke liye aaj ke samay me blogging karne ke liye google ke blogger plateform ke altimate me bahut saare anya plateform bhi hain. jo bloggers ko bahut pasand aate hain. jiname wordpress par blog banana kaafi prashidh hai.

Aap Blogger , wordpress.com , Wix.com , sophify aur bhi aise hi blogging plateform ke jariye aap apna blog banakar paise kama skte hain.

Antim Shabd:

Aaj humne sikha google blog kya hota hai aur kaise bnaya jata hai , blog se kinte prakar se paisa kama sakte hain. Blogging karne ke liye kaun kaun blogging plateform hai. ye saara kuch humne es post me jana.

Eske baad aapke man me koi prashn ho to niche comments kare. Aur yadi aapko ye post pasand aaya ho to facebook aur whatsapp par jarur share kare. Thank you…

14 thoughts on “Google blog kya hai , aur kaise banaye (How To make)”

  1. Good day very nice blog!! Man .. Beautiful .. Wonderful .. I will bookmark your site and take the feeds also? I am glad to seek out a lot of useful info here in the put up, we need work out extra techniques on this regard, thank you for sharing. . . . . .

  2. I was extremely pleased to uncover this page.I want to to thank you for your time due to this fantastic read!!I definitely loved every bit of it and I have you book marked to see new things on your blog.

  3. Pingback: My Homepage
  4. I have been browsing online greater than three hours these days,
    but I by no means discovered any attention-grabbing article like yours.
    It is lovely price sufficient for me. In my opinion, if all web owners
    and bloggers made excellent content as you did, the web
    will be much more useful than ever before.

  5. continuously i used to read smaller articles or reviews which also clear their motive,
    and that is also happening with this piece of writing which
    I am reading now.

  6. I was curious if you ever considered changing the
    page layout of your blog? Its very well written; I love what youve got to say.
    But maybe you could a little more in the way of content so people could connect with it better.
    Youve got an awful lot of text for only having one or 2 images.
    Maybe you could space it out better?

  7. I do accept as true with all the concepts you have offered to your post.

    They are very convincing and can certainly work.
    Still, the posts are too brief for starters. Could you please lengthen them a bit from next time?
    Thanks for the post.

Leave a Comment